Baazuyon mein jaise khinch ke aajaye ga kayenaat,
apne bache ke liye bahon ko youn phelaati hai MAAN,
zindigani ke safar main gardishon ki dhoop mein,
jab koi saya nahin milta tab boht yaad aati hai MAAN,
pyar kehte hain kisse aur maamta kya cheez hai,
koi un bachon se pooche jinki mar jati hai MAAN,
safa-e-hasti pe likhti hia asool-e-zindagi,
isiliye to maqsad-e-islam kehlati hai MAAN,
jab koi pardes jata hai aye noor-e-nazar,
Quran leke sar pe aajati hai MAAN,
Leke gute gam-e-dil ko peechey peechey,
sar jhukaye door tak jati hia MAAN,
kaampti awaz main kehti hai beta ALLAH HAFIZ,
samne jab tak raho Nazre nahi jhukati hai MAAN,
Jab parseshani mein phass jate hain hum,
pardes main aansuuyon ko pochne khawbon main chaliaati hai MAAN,
www.achhiblog.blogspot.in
Copy Write by- Md mazhar nesar
Currently have 0 comment plz: