feat0

Another Post with Everything In It

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit. Curabitur quam augue, vehicula quis, tincidunt vel, varius vitae, nulla. Sed convallis orci. Duis libero orci, pretium a, convallis quis, pellentesque a, dolor. Curabitur vitae nisi non dolor vestibulum consequat.

Read More
feat2

A Post With Everything In It

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit. Curabitur quam augue, vehicula quis, tincidunt vel, varius vitae, nulla. Sed convallis orci. Duis libero orci, pretium a, convallis quis, pellentesque a, dolor. Curabitur vitae nisi non dolor vestibulum consequat.

Read More
feat3

Quotes Time!

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit. Curabitur quam augue, vehicula quis, tincidunt vel, varius vitae, nulla. Sed convallis orci. Duis libero orci, pretium a, convallis quis, pellentesque a, dolor. Curabitur vitae nisi non dolor vestibulum consequat. Proin vestibulum. Ut ligula. Nullam sed dolor id odio volutpat pulvinar. Integer a leo. In et eros

Read More
feat4

Another Text-Only Post

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit. Sed eleifend urna eu sapien. Quisque posuere nunc eu massa. Praesent bibendum lorem non leo. Morbi volutpat, urna eu fermentum rutrum, ligula lacus interdum mauris, ac pulvinar libero pede a enim. Etiam commodo malesuada ante. Donec nec ligula. Curabitur mollis semper diam.

Read More
feat5

A Simple Post with Text

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit. Sed eleifend urna eu sapien. Quisque posuere nunc eu massa. Praesent bibendum lorem non leo. Morbi volutpat, urna eu fermentum rutrum, ligula lacus interdum mauris, ac pulvinar libero pede a enim. Etiam commodo malesuada ante. Donec nec ligula. Curabitur mollis semper diam.

Read More
Showing posts with label Meri maa. Show all posts
Showing posts with label Meri maa. Show all posts

maa se peyaar se baat karo

Posted by . | | Category: | 0 comment plz

maa jobhi banaye
use bina kisi nakhre k
khaliya karo

Q ki duniya me aise lakho log hai
jinke paas
ya to unki maa nahi hi
ya to unhe khana nahi hi

wo log khush nasheeb hi
jo apne maa k hatho ka
khana khate hai

shubhan allah
masha allah
Alhamdulillah

M » Importent

Posted by . | | Category: | 0 comment plz

Mother me
M Importen hai,
baki
Other hai

Maa ki zindagi hamare kaam aati hai

Posted by . | | Category: | 0 comment plz

Maa ki zindagi hamare kaam aati hai

Posted by . | | Category: | 0 comment plz

maan main teri yaad men ab bhi rota hon

Posted by . | | Category: | 0 comment plz

Ham jugno the ham titli the
Ham rang barange panchi the

Kuch maho-sal ki jannat men
MAA hm dono bhi sanjhi the

Men chota sa ik bacha tha
Teri ungli tham ke chalta tha

To door nazar se hoti thi
Main anso anso rota tha

Ik khowabon ka roshan wa basta tha main
To roz mjhe pehnati thi,

Jab darta tha main raton ko,
To apne sath solati thi.

MAA to ne kitne barson tak,
is phool ko seencha hathon se,

Jeevan ke gahre bhido ko Men, samjha teri baton se,

Men tere hath ke takiye par,
Ab bhi rat ko sota hon.

Maa main chota sa ik bacha
teri yaad men ab bhi rota hon

www.achhiblog.blogspot.in
Copy write by- MD Mazhar Nesar

maan aur Maan ki mamta

Posted by . | | Category: | 0 comment plz

Baazuyon mein jaise khinch ke aajaye ga kayenaat,
apne bache ke liye bahon ko youn phelaati hai MAAN,

zindigani ke safar main gardishon ki dhoop mein,
jab koi saya nahin milta tab boht yaad aati hai MAAN,

pyar kehte hain kisse aur maamta kya cheez hai,
koi un bachon se pooche jinki mar jati hai MAAN,

safa-e-hasti pe likhti hia asool-e-zindagi,
isiliye to maqsad-e-islam kehlati hai MAAN,

jab koi pardes jata hai aye noor-e-nazar,
Quran leke sar pe aajati hai MAAN,

Leke gute gam-e-dil ko peechey peechey,
sar jhukaye door tak jati hia MAAN,

kaampti awaz main kehti hai beta ALLAH HAFIZ,
samne jab tak raho Nazre nahi jhukati hai MAAN,

Jab parseshani mein phass jate hain hum,
pardes main aansuuyon ko pochne khawbon main chaliaati hai MAAN,

www.achhiblog.blogspot.in
Copy Write by- Md mazhar nesar

बडे प्यार से माँ ने सर मे हाथ धुमाया थ

Posted by . | | Category: | 0 comment plz

सुबह सुबह मैने सारी रात रोई हुई आंखों को छुपाया था…
पर मेरी मां को मेरी लाल आंखों ने सब समझाया था…
मां ने प्यार से बैठा के सीने से लगाया था…
“मै हूं ना” ये कह के फिर एक बार रूलाया था…
लिपट गया था सीने से मां के मैं फिर…
बडे प्यार से माँ ने सर मे हाथ धुमाया था...
अब तो मां को छोड कर हर सक्श लगता मुझे पराया था...
गमो के भयानक सायों से मां की दुवाओं ने ही तो मुझको बचाया था...
दिल का दर्द कुछ कहे बिना जान लेती है...
मेरी खुशी के लिए वा हर बात मान लेती है...
याद है मुझको जब उस बेवफा के प्यार में मैने धोखा खाया था...
“वो भी किसी की बेटी है, उसकी भी कुछ मजबूरियां है” ये कह के मेरी मां ने मुझे समझाया था...
हर दर्द को सह कर खुश रहती है,बच्चों के लिए जो हर सितम सहती है...
घर में तंगी की वजह से बच्चों को खाना खिला कर
“मुझे भूख नही है” ये कह कर खुद भूखी रहती है...
जो कुछ देकर कुछ पाने की चाह ना रखे...
बच्चों के लिए दुनिया कि दिलमें परवाह ना रखे...
उसे खुदा की पाक पवि़त्र चाहकहतें है...
जो मर कर भी जिन्दगी दे मेरे दोस्त उस पाक सूरत को“मां”कहते है.....
www.achhiblog.blogspot.in
Copy Write by- Md Mazhar Nesar

1 muddat se tune mujhe sine se nahi lagaya

Posted by . | | Category: | 0 comment plz

seeney se laga kar kaha karti thi maan mujh ko,
tu laal hai mera na sataa mujh ko,

pachtaye ga ik din jab mein chali jaaon gi,
naa chahte huye bhi akela chorr jaaon gi,

zamaney dikhayega garmi ki shidat tujh ko,
yaad karke roye ga tu phir mujhko,

Kahega..

mudaton se meri maa ne seeney se nahin lagay,
aab so gayi khaak main jab kuch kehne ka waqt aaya

Song :Meri Maa Meri Maa Pyaari Maa (Mumma) Music :Kailash Kher Lyrics :Kailash Kher Singers :Kailash Kher Maa, Meri Maa, Pyari Maa, MammaaHo O Maa, Meri Maa, Pyari Maa, Mammaa Haatho Ki Lakirein Badal JayengiGhum Ki Yeh Janjirein Pighal Jayengi Ho Khuda Pe Bhi Asar, Tu Duwao Ka Hai GharMeri Maa, Meri Maa, Pyari Maa, Mammaa Ho O Maa, Meri Maa, Pyari Maa, Mammaa Bigadi Kismat Bhi Sanwar JaayegiJindagi Taraane Khushi Ke Gaayegi Tere Hote Kiska Dar, Tu Duwao Ka Hai GharMeri Maa, Meri Maa, Pyari Maa, Mammaa Ho O Maa, Meri Maa, Pyari Maa, MammaaYu Toh Main Sabse Nyara Hoon, Tera Maa Main Dulhara HoonYu Toh Main Sabse Nyara Hoon, Par TeraMaa Main Dulhara Hoon Duniya Mein Jine Se Jyada Uljhanein Hai Maa, Tu Hai Amar Ka JahanTu Gussa Karti Hai, Bada Achha Lagata HaiTu Kaan Pakadati Hai Badi Jor Se Lagta Hai, Meri MaaMeri Maa, Meri Maa, Pyari Maa, MammaaHo O Maa, Meri Maa, Pyari Maa, MammaaHaatho Ki Lakirein Badal JayengiGhum Ki Yeh Janjirein Pighal JayengiHo Khuda Pe Bhi Asar, Tu Duwao Ka Hai GharMeri Maa, Meri Maa, Pyaari Maa, MammaaHo O Maa, Meri Maa, Pyari Maa, Mammaa

Bachho ko bahot chahati hai maa

Posted by . | | Category: | 0 comment plz

baazuyon mein jaise khinch ke aajaye ga kayenaat apne bache ke liye bahon mein phelaati hai MAAN,
zindigani ke safar main gardishon ki dhoop mein jab koi saya nahin milta tab boht yaad aati hai MAAN,

pyar kehte hain kisse aur maamta kya cheez hai,
koi un bachon se pooche jinki mar jati hai MAAN,

safa-e-hasti pe likhti hia asool-e-zindagi,
isiliye to maqsad-e-islam kehlati hai MAAN,

Jab koi pardes jata hai aye noor-e-nazar
Quran leke sar pe aajati hai MAAN,
leke zamanat mein raza-e-pak ki peechey peechey sar jhukaye door tak jati hia MAAN,

kaampti awaz main kehti hai beta alvida,
samne jab tak rahe nazro k palke nahi jhukati hai MAAN,

Jab parseshani mein phass jate hain hum,
pardes main aansuuyon ko pochne khawbon main chaliaati hai MAAN,

marte dam tak aasak na bacha ghar par,
parde se apni sari duayain chokhat pe chor jati hia MAAN

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••

Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha

Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha

Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay

Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay

Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha

Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri

Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri

Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga

Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga

Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya

Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya

Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga

Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga

Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei

Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agaye

Ab Faraayez Se Tu Door Hone Laga

Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Bolney Laga

Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulane Laga

Teer Baton Ke Phir Tu Chalane Laga

Baat Baat Pe Un Se Tu Ladne Laga

Qayda Ek Naya Tu Phir Padnay Laga

Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ek Din

Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin

Sun Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya

Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha

Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do

Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo

Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro

Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar

Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar

Ek Din Baap Tera Chala Rooth Kar

Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar

Phir Woh Bhi Bas Kal Ko Bhulati Rahi

Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

Ek Din Maut Ko Bhi Taras Aa gaya

Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya

Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi

Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi

Ek Sukoon Us Ke Chehre Pe Chaaney Laga

Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga

Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu

Tooti Khatiya Pe Pada Bora Hai Tu

Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi

Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi

Dard Mein Tu Pukare Ke “O Meri Maa”/

Tere Dam Se Hi Roshan The Dono Jahan

Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi

Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya/

Dhoondh Ab Zor Tera Kahan Reh Gaya

Tu Ahkaam-E-Rabbi Bhulata Raha

Apne Maan-Baap Ko Tu Satata Raha

Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo

Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo

Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga

Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga

Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin

Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi

Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe

Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe

Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par

Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par

Qadar Maa Baap Ki Gar Koi Jaan Le/

Apni Jannat Ko Duniya Main Pehchan Le

Aur Leyta Rahe Woh Boodhon Ki Dua

Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami Khuda

Yaad Rakhna Her Aulaad Is Baat KoBhool Jana Na Rehmat Ki Barsat Ko

www.achhiblog.blogspot.in

•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••

Ham jugno the ham titli the
Ham rang barange panchi the

Kuch maho-sal ki jannat men
MAA hm dono bhi sanjhi the

Men chota sa ik bacha tha
Teri ungli tham ke chalta tha

To door nazar se hoti thi
Main anso anso rota tha

Ik khowabon ka roshan wa basta tha main
To roz mjhe pehnati thi,

Jab darta tha main raton ko,
To apne sath solati thi.

MAA to ne kitne barson tak,
is phool ko seencha hathon se,

Jeevan ke gahre bhido ko Men, samjha teri baton se,

Men tere hath ke takiye par,
Ab bhi rat ko sota hon.

Maa main chota sa ik bacha
teri yaad men ab bhi rota hon

www.achhiblog.blogspot.in
Copy write by- MD Mazhar Nesar

Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye

Posted by . | | Category: | 1 comment plz

Pyaari Maa Mujh Ko TeriDua Chahiye,
Tere Anchal Ki Thandi Hawaa Chahiye,

Lori Gaa gaa Ke Mujh Ko Sulati Hain Tu,
Muskura Ke Sawere Jagati Hain Tu,

Mujh Ko Iss Ke Siwa Aur Kya Chahiye,
Pyaari Maa Mujhko Terii Dua Chahiye,

Tere Mumtaa Ke Saaye Main Phoolo Phalo,
Thaam Ker Teri Ungli Main Badhta Chaloo,

Aasra Bas Tere Pyar Ka Chahiye.Pyari Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye,

Teri Khidmat Se Duniya Main Azmat Meri,
Tere Pairo Ke Niche Hai Jannat Meri,

Umar Bhar Sar Pe sayaa Tera Chahiye,
Pari Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye,

Teri Anchal Ki Thandi Hawa Chahiye Pyari Maa Mujhko Teri Dua Chahiye.

Copy wright by- Md Mazhar Nesar

© 2010 www.achhiblog.blogspot.in |Blogger Author BloggerTheme
powered by Blogger | WordPress by camelgraph | Converted by BloggerTheme.