feat0

Another Post with Everything In It

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit. Curabitur quam augue, vehicula quis, tincidunt vel, varius vitae, nulla. Sed convallis orci. Duis libero orci, pretium a, convallis quis, pellentesque a, dolor. Curabitur vitae nisi non dolor vestibulum consequat.

Read More
feat2

A Post With Everything In It

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit. Curabitur quam augue, vehicula quis, tincidunt vel, varius vitae, nulla. Sed convallis orci. Duis libero orci, pretium a, convallis quis, pellentesque a, dolor. Curabitur vitae nisi non dolor vestibulum consequat.

Read More
feat3

Quotes Time!

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit. Curabitur quam augue, vehicula quis, tincidunt vel, varius vitae, nulla. Sed convallis orci. Duis libero orci, pretium a, convallis quis, pellentesque a, dolor. Curabitur vitae nisi non dolor vestibulum consequat. Proin vestibulum. Ut ligula. Nullam sed dolor id odio volutpat pulvinar. Integer a leo. In et eros

Read More
feat4

Another Text-Only Post

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit. Sed eleifend urna eu sapien. Quisque posuere nunc eu massa. Praesent bibendum lorem non leo. Morbi volutpat, urna eu fermentum rutrum, ligula lacus interdum mauris, ac pulvinar libero pede a enim. Etiam commodo malesuada ante. Donec nec ligula. Curabitur mollis semper diam.

Read More
feat5

A Simple Post with Text

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit. Sed eleifend urna eu sapien. Quisque posuere nunc eu massa. Praesent bibendum lorem non leo. Morbi volutpat, urna eu fermentum rutrum, ligula lacus interdum mauris, ac pulvinar libero pede a enim. Etiam commodo malesuada ante. Donec nec ligula. Curabitur mollis semper diam.

Read More

Gazal Furqat-e-Farag

Posted by . | | Category: |

wo baat baat pay deta hai Parindoun ki misal Alam
saaf saaf nahi kehta mera
sheher he chhor do...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Tumhari ek nigah se
Qatal hotay hain log Alam,
Ek nazar hm ko bhi dekh lo
k tum bin zindagy
achhi nahi lagta
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Ab use roz na sochoon to
badan toot'ta hai Alam
Umar guzri hai uss ki yaad ka
nasha karte karte
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Ek nafrat hee nahi duniya mein
dard ka sabab Alam,
MOHABBAT bhi sakoon walon
ko bari takleef deti hain
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Hum apni rooh tere jism mein he chhor aye Hai,
Tujhy galay se lagana tu
ek bahana tha…!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Mana k tum Guftago k
fun main mahir ho Alam
Wafa kay lafz pay atko to
humhain yaad kar lena
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Zamanay k sawalon ko main hans k taal du Alam
Lakin nami ankhon ki kehti hai “mujhe tum yaad aate ho”
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Apne hi hote hain jo Dil pe war karte hain Alam
warna gheron ko keya khabar
dil ki jaga kon si hai
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Tor dia tasbee ko is khayal se Alam
keya gin gin ke naam lena uska
jo be hisab deta hai
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Hum say bichar kay us ka
takabbur bikhar gaya Alam
Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Us shakhs se faqat itna sa taluq hai Alam
Wo pareshan ho to humain neend nahi aati
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Sath roti thi mere saath hansa krti thi Alam
Wo sakhs jo mere dil mein basa karta tha
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Meri chahat ki talabgar thi is darje k
Wo mussalle pe namazon mein dua karti thi Ek lamhe ka bicharna bhi giran tha usko
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Rote hoye mujhko khud se judakarti thi
Mere dil mein raha karti thi dharkan ban kar
Or saye ki tarah saath raha karti thi
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Rog dil ko laga bethi anjane mein
Meri aaghosh me marne ki duakarti thi
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Baat qismat ki hai ALAM
juda hogaye hum
Warna wo to mujhe taqdir
kaha karti thi
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

ab ussay roz na sochoon to badan toot’ta hai Alam
umar guzri hai
us ki yaad ka nasha karte karte
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Barbaad karne ke
aur bhi raste thay Alam,
Na jane unhain muhabbat ka
hi khayal kyon aaya
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Tu bhi to aainey ki tarah bewafa nikla Alam
Jo samne aaya
usi ka ho gaya
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Bach na saka khuda bhi muhabat ke takazon se Alam
Ek MEHBOOB ki khatir
sara jahan bana dala.
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Maine azad kia
apni wafaon se tujhe
Bewafai ki saza
mujhko suna dijaye
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Maine maangi thi
ujale ki faqat ik kiran Alam
Tum se yeh kis ne kaha
aag laga di jaye
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Itni si baat pe
dil ki dharkan hi ruk gai,
ek pal jo tasawar kiya
tere bina jeene ka...!

Is tarah gaur se mat dekh
mera haath aie Alam,
In lakeron main
hasraton ke siwa
kuch bhi nahi...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Usne mujhe chhor dia
to kia hua Alam,
Maine bhi to chhora tha
sara zamana us ke liye...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Ye mumkin nhi k
sub log hi badal jaty hain,
Kuch halat k sancho men
bhi dhal jaty hain...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Khali hathon ko kbhi
ghor se dekha hai Alam!,
Kis tarh log Lakeron se
nikl jaty hain...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Wo Roz Dekhta hai
Doobte huey Suraj ko Alam,
Kash Main bhi
kisi Shaam ka
Manzar hota...
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Kon deta hai
Umar bhar ka sahara Alam,
Log to JANAZEY men bhi KANDHEY badaltey rehty hen...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Meri Khushi k lamhe
Mukhtasir hein is kadar Alam!
Guzar jate hein Mere
Muskrane Se pehle...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Chalta tha kabi
hath mera tham k jis par,
Karta hai bohat yad
wo rasta usy kehna...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Umeed wo rakhy
na ksi aur se"Alam",
Har shakhs muhabat
nahi krta usay kehna...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Wo Barish Main Koi
Sahara Dhondta Hai Alam,
Aiye Badal Aaj Itna Baras
Ke Meri Bahon Ko
Woh Apna Sahara Bana Leé
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Gila karain
to keisay karain"Alam"
Wo laa-taluq he sahi,
Magar intikhaab to mera hai.
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Ye Wafa
Un Dinoon Ki Baat Hai,
Jab Log Sachy
Aur Makaan Kachy
Huwa Karty Thay"...

Dewar kya giri
maray kuchy makan ke Logo,
logo ne mere ghar se
Rastay bana lea...
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Kabhi toota nahin
meray dil se
aapki yaad ka tilism,
Guftago jis se bhi ho
khayal aapka rehta hay...

Fursat mile tu kabhi
'HUMEIN' b "YAAD"
kar lena Alam

Bari PUR RONAQ hoti hain"YAADEIN" 'HUM' "FAQIRON" ki.
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Dosti Apni Bhi Asar Rakhti Hai,
Bahot Yaad Aaien Gey
Zara Bhool Kar Tu Dekho...

Gham ke sanjo k
achhe lagte hai,
Mujhe umar bhar ke rog
achhe lagte hain...!

Na kar mujh se
wafa ki baat ainaye Alam,
Mujhe bewafa log
achhe lagte hain...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Muhabbat mein main ne kia kuch nahi luta dia Alam
Us ko pasand thi roshni,
aur main ne khud ko jala dia
Us shakhs se wabasta khush fehmi ka ye alam hai Alam
Mout ki hichki aai to main smjha,
us ne yaad kia
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Kabi himat to
kabi hosly se har gaye,
Hum badnaseb thy
jo har kisi se har gaye...!

Ajeb khel ka maidan hai
ye dunya Alam,
K jisko jeet chuky
usi se har gaye

Chahane wale muquadar se
mila karte hain Alam...
Uss ne is baat ko tasleem kia
mere janay k baad.
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Wo bazahir to mila tha ek lamhey ko ''Alam"
Umar sari chahiey us ko bhulany k liye!

Waqt-e-naza hai,
is kash'ma'kash main hoon
k jaan kis ko doon Alam...
Wo bhi aaye baithay hein aur maut bhi aai baithi hai...

Ek pal jo tujhe bhoolne ko
sochta hun,
Meri sansen
meri taqdir se
ulajh jati hain...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Maana k tum guftgu k mahir ho
Wafa k lafz py atko to
hamain yad kar lena...!

"Sawab samajh kr "
wo dil k Tukray karta hai,
Gunnah samajh kar
hum un se gila nahi KARTAY...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Mohabbat k andaz
juda hotay hain
Kisi nay toot k chaha,
or koi chah k toot gaya...!

Mosam ka aitebar
zeyada nahi kiya,
So us ne hum se pyar
zeyada nahi kiya,

Kuch to hum ne
palatne main der ki,
Kuch us ne intezar
zyada nahi kiya...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Har adawat pe
muhabat ko saja kar milna,
Rasm e dunia hai
haqeeqat ko chhupa kar milna

Jis ka kirdar hai
sitaron ki tarah roshan,
Kitna dushwar hai
us shakhs ko
ja kar milna...!

Tum muhabbat ko bhi
fareb samajhte ho,
Uski ada hai nigahon ko
jhuka kar milna...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Mana k bura hun
magar itna bhi nahi
Kuchh nazron se gira hun magar itna bhi nahi...!

Koi koshish to kare
mujhe sametne ki,
Main toot k bikhta hun
magar itna bhi nahi...!

Kon kehta hai
main waqif nahi
adab e muhabbat se,
Han thora pagal hun
magar itna bhi nahi...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

main udaas rasta hun sham ka
mujhe aahton ki talash hai...!

ye sitare hain
sab bujhe bujhe,
mujhe jugnuon ki talash hai...!

har khushi hai
mujhse khafa khafa,
mujhe zindagi ki talash hai...!

meri pyas main
ab wo talab nahi,
mujhe tishnagi ki talash hai...!

Ek hujoom sa hai rawaan,
mujhe doston ki talash hai...!

Us k honton ki
izzat ka khyal aata hai,
Wrna phoolon ko to hum
ser-e-aam choom letey hain...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Main Doob ke Ubhra to
Buss Itna Hi Dekha,
Auron ki Tarha Tu Bhi
Kinare Pe khari Thi...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Wo ye samajhti hai
k main her chehray ka
talabgar hon,
main dekhta sabhi ko hon
bas USKI talash main...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Aankhon Men Haya Ho To
Parda Dil Ka Hi Kaafi Hai,
Nahi to Naqabon Se Bhi Hoty
Hen Ishary MOHABAT k...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Yeh soch kar teri mehfil main
chala aya hon,
Teri sohbat mein rahonga
to main sanwar jaonga...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Yehi soch kr us ki
har baat ko
such mana hai
k itney khubsoorat lab
jhoot kaisey bolein gay...!

Mere lafzon ki pehchaan
agar kar leti wo,
Use mujh se nahi
khud se hi
muhabbat ho jati...

Us ki "NIGAH" main
itna assar tha, "Alam",
Khared li us ne
Ek nazar main
zindagi humari..!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Woh bazahir to mila tha
ik lamhay ko Alam,
Umr sari chahiye
usko bhulane k liye...!

jab uska dard mere saath
wafa karta hai,
ek samundar meri aankhon se
baha karta hai...!

uski batain mujhe
khushbu ki tarah lagti hain,
phool jaise koi sehra main
khila karta hai...!

mere dost ki pehchan
yehi kafi hai,
wo her shakhs ko danista
khafa karta hai...!

jab khazan aaye to
lot aaye ga who bhi,
who baharon main
zara kam he mila karta hai...!

Aqal waalon ke muqadar main
ye zok-e-janun kahan,
Yeh ishq waale hain
jo her cheez luta dete hain...!

Us ke marne par
bohat log jama they Alam,
Zindagi bhar jo tarasti rahi
logon ke liye...!

Wo bewafa na thi
younhi badnaam ho gayi,
Hazaroun chahne waley they
wo kis kis se wafa karti...!

Phir itne mayoos kyun ho
us ki bewafaai per Alam...!
Tum khud hi to kehte they
ke wo sab se juda hai.
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Un ke andaz-e-karam
un pe wo aana dil ka
Haae wo waqat,
wo batain,
wo zamana dil ka...!

Na suna us ne tawajoo se
fasana dil ka,
Umar guzri
par dard na jana dil ka...!

Dil lagi,
dil ki lagi ban ke mita daiti hai,
Rog dushman ko bhi
YA RAB na lagana dil ka...!

Wo bhi apne na huwe
dil bhi gaya hathon se,
Aise aane se to behtar hai
na aana dil ka...!

Un ki mehfil main
un k tabasum ki qasam,
Hum daikhte reh gaye
hath se jana un ka…!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Rooth jane ki adaa
ham ko bhi aati hai,
Kash hota koi ham ko bhi
manane wala...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

wo janti thi
uski muskurahat mujhe pasand hai,
us ne jab bhi dard dia muskurate huwe dia...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

kis kis se muhabbat ke
wade kiye hain tu ne,
har roz ek naya shakhs tera naam poochta hai...!

Kitabon se daleelain doon
ya khud ko samne rakh doon,
Wo mujh se pooch bethi hai muhabat kis ko kehte hain...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Tum mujhy moqa to do
aitbar bnaney ka,
Tak jao gey
meri wafa k sath chaltey chaltey...!

Wäfä Ki Lääj men
Usko Mänä Letey
To Achä Thä,
Mnnä Ki
Jung Mein
Aksär Judäi Jeet Jäti Häi...!

Kanch ki tarha hotay hain
Gharebon k DIL,
Kabhi toot Jatay hain
to kabhi toor diye Jatay hain..!

Nakaam thi
meri sub koshishein
us ko mananay ki"Alam",
Pata nahi
Kahan sey sekhein zalim ne
adaein rooth janay ki...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

U$ säy bìchhry tø
mälòom huä
k mäut bhì kòi chééz häi,
Zìñdägi wö thee
jö hum u$ki mèhfìl mèiñ
guzäar aäyè...!

Umeed-e-Wafaa"
Na Rakh Un"Logon" Se Alam,
Jo "Miltay" Hain Kisi Se
Hotay Hain Kisi Ke...!

Ham ne suna tha
k DOST Wafa karte hain,
Jab ham ne kiya"BHAROSA"
to rewayat hi badal gayi..!

Barbaad Honay K Aur Bhi
Rastay They "Alam",
Na Janey Hamen
Muhabbat Ka Hi
KhayaaL Q Aaya...!

Bus yahi aadat uski mujhy
aachhi lgti hai,
Oodas kar k mujy khud Bhi
wo khush nahi rehta..!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Hajoom-e dostan se
jab kabi fursat mily tum ko
Agar Samjho munasib to
humein bhi yaad kar lena...!

Humary baad
nahin Aayega
tomhein chahat ka aisa maza,
Tum logon se khud kehty phiro ge
k mujhe chaho us ki Tarah..!

Iss Tarha Gaour Se Mat Dekh
Mera Haath aye Alam,
In Lakeeron Mein
Hasraton Ke Siwa
Kuch Bhi Nahi...!

Itna na yaad aaya karo
k raat bhar so na sakain,
Subah sb surkh Aankhon ka
sabab poochtay hain log...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Kabhi Kabhi To Ro Parti Hain
Yunhi Ankhen,
Udas Hone Ka
Koi Sabab Nhi Hota..!

Mai Apne DiL Ko
Ye Baat Kese Smjhaun,
K Kisi Ko Chahne Se
Koi Apna Nhi Hota....!

Kitna khof hota hai
shaam k andheron mein,
Pooch un parindon se
jin k ghar nhi hote..!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Main wafa ka
konsa saleeka ikhtyar karoon,
Usay yakeen ho jaye k mujy
wo har ek se pyari hai...!

Mehfil sa uth k jana to
koi baat na thi,
Mera mur mur k dakhna
usy badnam kar geya...!

Mujhko maloom nahi
husn ki tarif,
meri nazron main haseen
wo hai jo tujh jaisa ho...!

Qasoor nahi is mein
kuchh bhi unka,
Humari chahat hi itni thi k
unhein ghuroor aa gya...!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Samandar Me Fana Hona,
to Qismat ki Kahani hai,
Jo Marte hain kinaron pe
Mujhe Dukh un pe hota hai..!!
✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒✒

Tapti rahi hai
aas ki kirno pe zindagi,
Lamhe judayion k
maa-o-saal ho gaye...!

Jo kabhi har roz mila karty thy,
Wo chehry to ab khawab-o-khayal ho gaye...!

Tu kisi aur k leye hogi
samndar-e- ishq,
hum tu roz tere sahil se
peyase guzar jatey hain...!

Use teri ibadaton pe
yaqeen he nahein,
Jis ki khushian tu RAB se
ro ro k maangta hai...!

Uss ki jafaaon ne mujhey
Ek tehzeeb sikha di hai,
Main rotey huway so jata hun
par shikwa nahin karta...!

Uss shakhs say wabasta
khush fehmi ka ye alam hai,
Maut ki hichki ai to main samjha k uss nay YAAD kia...!

Wafa ki aj bhi Qadar wohi hai,
Fakat mit chuke hain toot k chahne wale...!

Ye Keh kar Mere Dushman
Muje Hansta Chorrh Geyi,
Tere Dost Kaafi hai
tuje rulanay k Liye...!

Ye zalzaley yon hi
besabab nahi atey Alam,
Zaroor zameen k nechey
koi dewana tarapta hoga...!

Power by -MD Mazhar Nesar

Currently have 0 comment plz:


Leave a Reply

© 2010 www.achhiblog.blogspot.in |Blogger Author BloggerTheme
powered by Blogger | WordPress by camelgraph | Converted by BloggerTheme.