Aye Naseeb mujhe tujhse gila
nahi,
Tu bhi to kisi k Hukm ki jaal me ho.
jis tarah Mere he hathon par
mera Naseeb likhi hai,
Aur meri he taqdeer par
mera bas nahi chalta.
ek baat ki khabar to in lakiro ko bhi nahi hai,
Mere Naseeb me khuda ne Dar likha kitna
Jab bhi kabhi Dard
paimane se chalakta hi,
Aye Naseeb tujhse
gila karta hoon,
Tujhse mai Nafrat to
nahi karta,
hojaye Dard ka bojh thora kam,
is liye ro-ro ke tujhse sunata hoon.
Aye Dard mujhe tujhse
koi sikayat he nahi,
Q ki hui hai musallat khuda k hukm se
Aur khuda kisi par julm nahi karta,
Ye mere He kisi Gunaho ka saja hoga,
yaa RAB-UL-ZALAL teri Har imteha
k kabil nahi hoon mai,
Mujhe is trah Dard se Wabasta na kar,
Ya RAB Tujhse sikayat
karu to karu kaise,
Tune Aaj tak kisi par
julm kiya he nahi
Wednesday 2nd March 2016
® MD Mazhar Nesar
Currently have 0 comment plz: