●══════════◄►══════════●
Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim
Hadith: Halakat hai
us shaksh ke liye
jo logo ko hasaney ke liye
jhooti baat karey
●══════════◄►══════════●
Muhammad bin bashaar
Radi Allahu Anhu se
rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne
farmaya halakat hai us shaksh ke liye
jo logo ko hasaney ke liye jhooti baat karey,
iskey liye kharabi hai ,
iskey liye kharabi hai
Aap s.a.w. Ne do baar kaha
Jabki aap k 1 baar ka kahna he kaafi tha !!!
Jamia Tirmidhi, Vol 2, Hadith, 196 -Hasan
Safwaan bin Sulaim
radi allahu anhu se
rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam se pucha gaya
●══════════◄►══════════●
ki kya momeen buzdil ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan,
●══════════◄►══════════●
phir pucha gaya ki kya momeen Kanjus ho saktahai
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan,
phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam sepucha gaya kya Momeen JHOOTA ho sakta hai
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaya nahi.
Imam Malik Muwatta,Vol 56,#19
●══════════◄►══════════●
Yaani
Momin kanjoos ho sakta hai,
Momin bujdil ho sakta hai,
Lekin !
Momin JHOOTHA nahi ho sakta
Jo log jhooth bolte hai wo momin nahi hai !
Allah Hum sab ko sacha banda banne ki tofiq de
Aaameen
Currently have 0 comment plz: