Hiqayat :
Ek Aurat Hamesha
Apne Ghar Waalo Ke Liye Roti Pakaati Tou Ek Roti Khidki Ke Bahar Rakh Deti,
Yeh Soch Kar Ki Koi Bhuka Faqir Aayega Tou Ye Roti Utha Kar LeJayega Aur Dua Dega.
Jab Woh Aurat Khidki Par Roti Rakhti Tou Ek Faqir Waha Par Aata
Aur Uss Roti Ko UthaKar Chal Deta. Aur Bolte Jaata Ki
“Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega
Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega”
Din Guzarte Gaye
Aur Ye Silsila Chalta Raha,
Woh Faqir Roti Le Kar chsls Jata
Aur Yehi Baat Bad-badata.
Jab Uss Aurat Ko Iss Faqir Ki
Harkat Se Taklif Hone Lagi,
Aur Aurat Khyayal Karti Ki
Kaisa Faqir Hai Jo Shukriya
Ke Lafz Nahi Bolta
aur Naa Hr Dua Deta
Aur Kuch Ulta Sidha He
Bad-badata Chal Deta Hai!!!
Iska Kiya Matlab Hoga!!
Ek Din Uss Aurat Ke
Gusse Ka Koi Thikana Na Raha
Aur Usne Mann Hee Mann
Soch Liya Ki Iss Faqir Se
Nijat Paani Hai.
Aur Iss Iraade Se Usne
Faqir Waali Roti Me
Zaher Mila Diya.
Par Jab Woh Khidki Par
Woh Roti Rakhne Gai
Ki Uska Zameer Jaag Utha
Aur Bolne Lagi Ki Yeh Woh Kaisi Harkat Karne Ja Rahi Hai!!
Kisi Garib Ki Jaan Lena Chahti Hai!!
Bas Yeh Soch Kar Usne
Zaher Waali Roti Jaala Di
Aur Phir Se Achchi Roti
Banaa Kar Khidki Par Rakh Di.
Aur Woh Faqir Aaya
Aur Roti Utha Kar Wahi Baat Bad-badate Jane Laga
Ke, “Jo Tum Bura Karoge
Woh Tumhare Saath Rahega
Aur Jo Tum Achcha Karoge
Woh Tum Tak Laut Aayega
Har Roz
Jab Woh Aurat Khidki Par
Roti Rakhti Tou Woh Apne Ek Khoye Huwe Bete Ki Salamati Ki Dua Karti,
Isi Ummid Se Woh Roti Rakhti Ki
Jo Barso Pehle Uska Beta Kho Gaya Tha
Woh Wapas Ghar Par Aajaye.
Aur Arso Se Ab Tak Koi Uski Khabar Nahi Thi.
Ussi Roz Shaam Ko
Kisi Ne Darwaze Par Dastak Di,
Jab Uss Aurat Ne Darwaza Khola
Tou Usne Apne Bete Ko Paya.
Magar Beta Bahot Kamzor
Aur Chalne Ke Laaik Na Tha.
Behad Hee Dubla-Patla
Aur Taqat Se Khali Tha,
Bhuk Se Uski Haalat Kharab Hoti Ja Rahi Thi.
Jaise He Usne Apni Maa Ko Dekha To Bola Ki Maa Ye Ek Karaamat Hee Hai Ki Me Aaj Zinda Hu.
Kuch Meel Door Meri Haalat Bhuk Se Itni Khasta Thi
Ki Mai Ek Kadam Bhi Chal Nahi Paa Raha Tha.
Naa Waha Koi Insaani Aabadi Thi
Naa Kuch Khane Pine Ko.
Agar Aise Hee Chalta To Wahi Par Marr Jaata.
Par Waha Se Ek Faqir Ka Guzar Huwa,
Jisne Meri Haalat Par Taras Khai
Aur Usne Apne Thaile Se
Ek Roti Nikaal Kar Mujhe Khilai
Aur Bola Ki Roz To Ye Roti Mai Hee Khata Hu,
Par Aaj Iski Zaroorat Mujse Ziyada Tujhe Hai,
Ise Kha Le.
Bas Wahi Roti Kha Kar Mujhe Apne Ghar Tak Pahuchne Ki
Taqat Mili Aur Yaha Tak Pahuch Saka.
Jaise Hi
Maa Ne Iss Baat Ko Suna
Ki Uska Chehra Pila Pad Gaya
Aur Apne Aap Ko Sahara Dene
Darwaze Par Haath Rakh Diya
Aur Sochne Laagi
Ki Mere Bete Ko Jisne Roti Di
Woh Faqir Agar Wahi Tha
Jo Meri Khidki Se Roti Le Jaata
Aur Kehta Ki
“Jo Tum Bura Karoge
Woh Tumhare Saath Rahega
Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega”.
Agar Wahi Faqir Tha To
Aaj Mai Kiya Karne Ja Rahi Thi..?
Aaj Tou Maine
Uss Faqir Ke Liye Zaher Waali Roti Rakh Di Thi,
Agar Woh Roti Me Wapas Nahi Leti To Wahi Roti Woh Faqir Anjane Mei Mere Hi Bete Ko De Deta
Aur Mera Beta Wahi Par Marr Jata!!
Yeh Soch Woh Khub Roi
Aur Sharminda Huwi
Apni bure sonch par.
Aur Usse Faqir Ke Lafzo Se Taklif Hoti Thi
Woh Bhi Samaj Me Aagaya
Ki Beshaq “
Jo Tum Bura Karoge
Woh Tumhare Saath Rahega
Aur Jo Tum Accha Karoge
Woh Tum Tak Laut Aayega”.
~°~°~°~°~°~°~
Azeez Dosto Shayad Yeh Wakiya Ek Khayali Baat Hee Ho,
Lekin Ye
Intehayi Haqiqat Hai Ke, Hamare Bure Amaal Hamare Sath Hee Rahenge
Aur Hamare Acche Amaal
Hum Tak Jarur Lout Aayenge.
Lihaza Hamesha Accha Karo,
Aur Accha Karne Se
Apne Aap Ko Naa Roko,
Phir Chahe Bhale
Uss Waqt Na Koi Taarif Karne Waala Ho
Naa Koi Dekhne Waala.
Allah Taala Hume Amal Ki Toufiq De .
Aameen suma Aameen ya Rabul Aalameen
Ham sabko Insaniyat ka Rasta dikha
ya rabbul aalemeen Ham sabko aun logo k rasto se door rakgna
jinke upat tune apna gajab dhaya
®Zeba Shaikh
Rajeshthan
Join The Community